Songs
Zaroori Tha

zarūrī thā
It was necessary

lafz kitnē hī tērē pairōṁ sē
lipṭē hōṁgē
tūnē jab āxirī xat
mērā jalāyā hōgā

How many words
would have clung to your feet
when you (would have) burned
my last letter


tūnē jab phūl kitābōṁ sē
nikālē hōṁgē
dēnē vālā bhī tujhē
yād tō āyā hōgā

When you took the flowers
out of the books,
you must have remembered
the giver


tērī ām̐khōṁ kē dariyā kā
utrnā bhī zarūrī thā
mōhabbat bhī zarūrī thī
bichṛnā bhī zarūrī thā

It was also necessary
for the waters of your eyes to flow
Love was also necessary
To be separated was also necessary


zarūrī thā ki ham dōnōṁ
tavāf ārzū kartē,
magar phir ārzūōṁ kā
bikhrnā bhī zarūrī thā
tērī ām̐khōṁ kē dariyā kā
utrnā bhī zarūrī thā

It was necessary for us both
to go around our desire,
but it was also necessary for our desires
to afterwards be spoiled
[repeats chorus]
[instrumental bridge]


batāō yād hai tum kō
vah jab dil kō curāyā thā।
curāī cīz kō tum nē
xudā kā ghar banāyā thā

Tell me you remember
when you have stolen this heart.
That stolen item, you
had made it the house of God


vō jab kahtē thē mērā nām
tum tasbīh mēṁ paṛhtē hō,
mōhabbat kī namāzōṁ kō
qazā karnē sē ḍartē hō

And when you used to say that
you recited my name in tasbih,
that you were afraid of missing
the prayers of love


magar ab yād ātā hai
vō bātēṁ thīṁ mahaz bātēṁ।
kahīṁ bātōṁ hī bātōṁ mēṁ
mukrnā bhī zarūrī thā
tērī ām̐khōṁ kē dariyā kā
utrnā bhī zarūrī thā

But now I remember that
those were words, mere words.
It was also necessary to go back
on words said, just words
It was also necessary
for the waters of your eyes to flow


vahī haiṁ sūrtēṁ apnī,
vahī maiṁ hūm̐, vahī tum hō,
magar khōyā huā hūm̐ maiṁ
magar tum bhī kahīṁ gum hō

Our appearances are the same,
I am the same, you are the same,
but I have become lost,
but you also are lost somewhere


mōhabbat mēṁ daġā kī
thī sō kāfir thē sō kāfir haiṁ।
milī haiṁ maṁzilēṁ phir bhī,
musāfir thē musāfir haiṁ

In love, I have been treacherous
so we were infidels, so we are infidels.
(Our) destinations were met, but still,
we were travellers, we are travellers


tērē dil kē nikālē ham
kahām̐ bhaṭkē kahām̐ pahum̐cē …
magar bhaṭkē tō yād āyā
bhaṭknā bhī zarūrī thā
mōhabbat bhī zarūrī thī
bichṛnā bhī zarūrī thā

Dismissed from your heart, I
wandered here, arrived there …
But then, wandering, I remembered
(that) wandering was also necessary,
(that) love was also necessary,
(that) separating was also necessary


zarūrī thā ki ham dōnōṁ
tavāf ārzū kartē,
magar phir ārzūōṁ kā
bikhrnā bhī zarūrī thā।
tērī ām̐khōṁ kē dariyā kā
utrnā bhī zarūrī thā

It was necessary for us both
to go around our desire,
but it was also necessary for our desires
to afterwards be spoiled.
It was also necessary
for the waters of your eyes to flow

Click here for a Full Clickable Dictionary View of the song, where you can click on each word to obtain a definition