Songs
Ghagra Tera Ghagra

ghāgrā tērā ghāgrā
Your Ghagra

sāhibān qadrdān mēharbān,
āh dil thām kē baiṭhiyē
kyōṁki ab āpkē sāmnē taśrīf lā rahī hai
āgrā kī azīṁ fankārā
mallikā-ē-husn nūr-ē-nazar
mōhatrmā, mōhinī

Gentlemen, appreciative patrons, sympathetic ones!
Ah, hold your hearts and sit!
Because now, before you, is presenting,
next, the Agra artist,
Beauty Queen, light of the eyes
the exalted: Mohini!


yē nigāhēṁ naśtar , yē hōṭh kausar
mērī āġōś mēṁ, hōś bhī bēhōś hōgā
vā vā … [cheers]

These eyes are lancets, these lips, Kausar
In my embrace, even sense will become senseless
[cheers]


abhī vaqt hai nikal lō bhāī lōg
nahīṁ tō kal subah afsōs hōgā
[laughter]

Now is the time, brother(s), leave!
If not, tomorrow morning you will be sorry!
[laughter]


yah śōxī, yē adāēṁ, yah bām̐kpan
inkī qīmat bhalā duniyā tay kar saktī hai, kyā?
vā vā … [cheers]

This insolence, these manners, this jauntiness
Of these, can indeed the world settle for a price?
[cheers]


acchā cal itnā batā,
tīnōṁ kā milā kē [package] mēṁ
kuch kam kartī hai, kyā?
[laughter]

Ok, go ahead and tell me this much:
Putting all three together in a package,
do you reduce it a little?
[laughter]


barxūrḍān , husn kā mazāq na uṛā!
kahīṁ husn kē hāthōṁ tērā mazāq na ban jāē
manclā hai , xūbsūrat hai , magar laṛkā hai tū
tujhē laṛkōṁ aur mardōṁ mēṁ phēr kaun samjhāē?

Junior, don’t make fun of beauty,
lest it becomes that, by the hands of beauty, you be made fun of!
You are free-spirited, handsome, but still a boy
Who would make you understand the intricacies about men and boys?


laṛkē ō rē laṛkē
kahām̐ sē āyā hai rē tū
pyārā hai śakal sē
aql kā mārā hai rē tū
[all stanza x2]

Boy, oh, boy,
where have you come from?
Your face is as lovely
as your mind is gone!
[all stanza x2]


hā jal gaī hā jal gaī,
mērī bātēṁ sē tū jal gaī
hā khal gaī tujhē khal gaī,
mērī bēparvāhī khal gaī
mōhatrmā tū kis khēt kī mūlī hai
zarā batā

Ha, you got burnt, burnt
you got burnt by my words
Ha, you felt offended, offended,
you took ill my carelessness
Honorable one, who do you think you are?
Hey, please tell!


ṭīvī pē [breaking news] hāy rē mērā ghāgrā
hāy baġdād sē lē kē dillī [via] āgrā
[both lines x2]

Ah, my ghagra is in the TV breaking news
Ah, from Baghdad along with Delhi via Agra
[both lines x2]


ghāgrā ghāgrā tērā ghāgrā ghāgrā
tērā ghāgrā ghāgrā [via] āgrā
[both lines x2]
ghāgrā ghāgrā [x2]

Your ghagra, your ghagra
Your ghagra via Agra
[both lines x2]
Ghagra, ghagra [x2]


maiṁ havā / tō uṛ jā
ghaṭā / tō muṛ jā
kalī / kahām̐ kī
adā/ haṭā bhī
baṛā bēśram hai tū tō lukkhā hai baṛā
yah kamar / chupā lē
nazar / ghumā lē
patā / na pūchūm̐
umr / tū jānē
dēkhō bēruxī pē kaisē aṭkā hai paṛā

I'm wind / Then fly away
cloud / Then turn around
flower bud / Where from?
style / Indeed, take it away!
You are really shameless, a true vagrant!
This waist / Hide it!
gaze / Turn it away!
knowledge / I shall not ask!
age / you would know!
Look, you are sudddenly stuck on callousness in such a way!


hā ḍhal gaī rē ḍhal gaī,
tū śām kī tarah ḍhal gaī
hā khal gaī tujhē khal gaī,
mērī bēparvāhī khal gaī
mōhatrmā tū kis khēt kī mūlī hai
zarā batā

Ha, you have set/declined
you have set, the way dusk does
Ha, you felt offended, offended,
you took ill my carelessness
Honorable one, who do you think you are?
Hey, please tell!


bēmatlab kī …
bēmatlab kī bakvās tērā ghāgrā
baġdād hō yā hō dillī [via] āgrā
ṭīvī pē [breaking news] hāy rē mērā ghāgrā
baġdād sē lē kē dillī [via] āgrā

Meaningless …
Your ghagra is meaningless chatter
Be it "Dehli via Agra" or not
My ghagra is in the TV breaking news
From Baghdad along with Delhi via Agra


maiṁ naśā / utar jā
xatā / sudhar jā
itr maiṁ / sūm̐ghūm̐
rasūl / maiṁ gāūm̐
aisē ban rahā hai jaisē kōī [top] hai
maiṁ mazā / na cāhūm̐
sajā / na kāṭūm̐
razā / na pūchūm̐
juā / kyūm̐ khēlūm̐
[hopeless] hai tū phir bhī thōṛī [hope] hai

I am intoxication / Get low!
fault / Correct yourself!
essence / I shall smell it!
ghazal / I shall sing it!
You are feigning as if you were someone important!
I am joy / I shan't want it!
punishment / I shall not stand it!
wish / I shall not ask for it!
game / Why would I play?
You are hopeless, still, there is a little hope left


hā ṭal gaī hā ṭal gaī,
āfat kī tarah ṭal gaī
hā khal gaī tujhē khal gaī,
mērī bēparvāhī khal gaī
mōhatrmā tū kis khēt kī mūlī hai
zarā batā

Ah, you were averted, averted
you were averted, the way a calamity is
Ha, you felt offended, offended,
you took ill my carelessness
Honorable one, who do you think you are?
Hey, please tell!


uṛtī phirtī …
uṛtī phirtī afvāh hai tērā ghāgrā
baġdād hō yā hō dillī [via] āgrā
ṭīvī pē [breaking news] hāy rē mērā ghāgrā, hā
baġdād sē lē kē dillī [via] āgrā, hā

Flying by …
Your ghagra is idle talk flying by
Be it "Dehli via Agra" or not
My ghagra is in the TV breaking news
From Baghdad along with Delhi via Agra


ghāgrā ghāgrā tērā ghāgrā ghāgrā
tērā ghāgrā ghāgrā [via] āgrā
[both lines x2]
ghāgrā ghāgrā [x2]

Your ghagra, your ghagra
Your ghagra via Agra
[both lines x2]
Ghagra, ghagra [x2]

Click here for a Full Clickable Dictionary View of the song, where you can click on each word to obtain a definition