Songs
Ae Dil Hai Mushkiltū safar mērā You are my journey,
hai tū hī mērī maṁzil you are my only destination
tērē binā guzārā The walk of life without you,
ai dil hai muśkil oh, heart, is difficult!


tū mērā xudā You are my God,
tuhi duā mēṁ śāmil you are the very one included (my) prayer
tērē binā guzārā The walk of life without you,
ai dil hai muśkil oh, heart, is difficult!


mujhē āzmātī hai tērī kamī The lack of you tests me
mērī har kamī kō hai tū lāzmī You are essential for each shortcoming of mine
junūn hai mērā It’s my passion
banūm̐ maiṁ tērē qābil to become worthy of you.
tērē binā guzārā The walk of life without you,
ai dil hai muśkil oh, heart, is difficult!


yah rūh bhī mērī This soul is also mine,
yah jism bhī mērā this body is also mine;
utnā mērā nahīṁ not as much mine
jitnā huā tērā as they became yours


tūnē diyā hai jō What you have given me
vah dard hī sahī is pain, so be it!
tujhsē milā hai jō What I got from you
inām hai mērā is my reward


mērā āsmān ḍhūm̐ḍhē tērī zamīn My heaven searches for your earth
mērī har kamī kō hai tū lāzmī You are essential for each shortcoming of mine


zamīn pē na sahī If not on earth, so be it,
tō āsmān mēṁ ā mil then meet (me) in heaven
tērē binā guzārā The walk of life without you,
ai dil hai muśkil oh, heart, is difficult!


mānā ki tērī maujūdgī sē I accepted that this life
yah ziṁdgī mahrūm hai is devoid of your presence
jīnē kā kōī dūjā tarīqā My heart doesn't know
na mērē dil kō mālūm hai any other way of living life


tujhkō maiṁ kitnī śiddat sē cāhūm̐ I desire you with so much intensity!
cāhē tō rahnā tū bēxabar Even though you remain heedless
mōhtāj maṁzil kā tō nahīṁ hai There is not a destitute of a destination
yah ēk tarfā mērā safar This journey of mine is one-sided


safar xūbsūrat haiṁ maṁzil sē bhī This journey is even more beautiful than the destination
mērī har kamī kō hai tū lāzmī You are essential for each shortcoming of mine


adhūrā hōkē bhī Having become incomplete,
hai iśq mērā kāmil my love is perfect (complete)
tērē binā guzārā The walk of life without you,
ai dil hai muśkil oh, heart, is difficult!


mujhē āzmātī hai tērī kamī The lack of you tests me
mērī har kamī kō hai tū lāzmī You are essential for each shortcoming of mine

Click here for a Full Clickable Dictionary View of the song, where you can click on each word to obtain a definition